पुराने अवतरण Report a problem
पन्ना बदलें संवाद

हुस्न-ए-माह गरचे बहंगामे-कमाल अच्छा है / ग़ालिब

From Hindi Literature

यहां जाईयें: नेविगेशन, ख़ोज

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

aur baazaar se le aaye agar TooT gaya saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

be_talab daiN to maza usme siwa milta hai woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ? ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai

KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai

Rate this article:

Share this article:

Hubs Highlights International Sites Wikia messages
Entertainment
Gaming
Cartoons & Comics
Science Fiction
Hobbies
Sports
See all...
German
Spanish
Chinese
Japanese
More...
Wikia is hiring for several open positions
Send this article to a friend
"हुस्न-ए-माह गरचे बहंगामे-कमाल अच्छा है / ग़ालिब"
 
 
Hi!

I thought you'd like this page from Wikia!

http://hi.literature.wikia.com

Come check it out!
Send confirmation


.